Dil ke hira mein apne Khuda se tere siwa kuch bhi to na maanga Tu mera awwal tu mera aakhir tu mera malja tu mera maawa
Baad-e-Khuda ik tu hi sahara gir gaya main tanha bechara Chaar taraf tareekh ka jungle taak mein apne ghaat mein aada
Kitne saheefey main ne khangaley nisf andherey nisf ujaley Tu hi haqeeqat tu hi sadaqat baqi sab kuch sirf hayoola
Yun to hazaar sayaney aaye rooh ka dasht basaney aaye Teri ghata sehraon pe umdi abr un ka daryaon pe barsa
But-khaney hairan kharey hain but tere qadmon mein parey hain Tere jamaal ki zad mein aakar kaisa kaisa patthar toota
Tu ne diya mafhoom-e-namu ko tu ne hayaat ko maani bakhshey Tera wajood isbaat-e-Khuda ka tu jo na hota kuch bhi na hota





