Umangain josh par aayin iraday gudgudatay hain Jameel-e-Qadri shayad Habib-e-Haq bulatay hain
Jaga detay hain qismat chahtay hain jis ki dam bhar mein Woh jis ko chahtay hain apnay rohzay par bulatay hain
Unhein mil jata hai goya woh saya Arsh-e-Azam ka Teri deewar ke saya mein jo bistar jamatay hain
Muqaddar us ko kehtay hain farishtay Arsh se aakar Ghubaar-e-farsh-e-Taiba apni aankhon mein lagatay hain
Khuda jaanay ke Taiba ko hamara kab safar hoga Madinay ko hazaron qafalay har saal jatay hain
Shah-e-Taiba yeh quwwat hai teray dar ke gadaon mein Jala detay hain murdon ko woh jis dam lab hilatay hain
Meray Maula yeh quwwat hai teray dar ke gadaon mein Woh jis ko chahtay hain Shah dam bhar mein banatay hain
Madinay ki talab mein jo nahin letay hain jannat ko Unhein tashreef la kar Hazrat-e-Rizwan manatay hain
Tasadduq jaan-e-aalam us kareemi aur raheemi ke Gunah kartay hain hum woh apni rahmat se chupatay hain
Wahabi Qadyani Gandhvi o Nechari sab ki Khabar lena yeh har dam Ahlesunnat ko satatay hain
Jameel-e-Qadri ko dekh kar hooron mein ghul hoga Yahi hain woh ke jo naat-e-Habib-e-Haq sunatay hain





