Yun to saare Nabi mohtaram hain Sarwar-e-Ambiya teri kya baat hai Rahmat-e-do jahan ek teri zaat hai ae Habib-e-Khuda teri kya baat hai
Rooh-e-kon-o-makaan pe nikhaar aa gaya rooh-e-insaniyat ko qaraar aa gaya Marhaba marhaba har kisi ne kaha, aamad-e-Mustafa teri kya baat hai
Hazrat-e-Amina ke dulaare Nabi, ghamzada ummaton ke sahaare Nabi Roz-e-mahshar kahegi yeh khalq-e-Khuda, sab ke mushkil kusha teri kya baat hai
Chaar su rahmaton ki ghata chha gayi, baagh-e-aalam mein fasl-e-bahaar aa gayi Dil ka ghuncha khila ism-e-aazam mila, zikr-e-Salli Ala teri kya baat hai
Rahmat-e-do jahan ka khazina mile, jab gale se hawaye Madinah mile Arshiyon ki nida farshiyon ki sada, ae dar-e-Mustafa teri kya baat hai
Aarzoo bhi jo dil ki woh poori hui, Roza-e-Mustafa ki hazoori hui Har jagah pe Zahoor-i Zahoor-i hui, ae Nabi ke gada teri kya baat hai





