Rukh se kaakal hata diya tu ne Sab ko be-khud bana diya tu ne
Shab ko milne ki de ke ik umeed Sab ko shab bhar jaga diya tu ne
Rukh-e-zeba ki ik jhalak se Habib Raat ko din bana diya tu ne
Koi armaan ab nahin baqi Khaak mein sab mila diya tu ne
Na rahi kuch khabar sar-o-pa ki Jaam aisa pila diya tu ne
Meri baaton pe log hanste hain Kya tamasha bana diya tu ne
Ta-qayamat kabhi na achha ho Rog aisa laga diya tu ne
Koi aawaaz ab nahin bhati Raag aisa suna diya tu ne
Apne chehre ke ek darshan mein Mujh ko kya kya dikha diya tu ne
Kuch nahin yaad ab to Arabi ko Yaad jo tha bhula diya tu ne