Aao tasbeeh-e-subh-o-shaam karein Yun gham-e-zindagi tamam karein
Har taraf jaan-o-dil bicha deejiye Kya khabar woh kahan qayam karein
Chashm-e-tar, soz-e-aarzoo le kar Un ke jalway ka intezam karein
Aaj woh puchne to aaye hain Zindagi nazr-e-iqtedam karein
Un ka aana tha kuch khabar na rahi Aaj sajda karein qayam karein
Un ke koochay mein sar ke bal ja kar Aao toaf-e-dar haram karein
Un ki dehleez choomne walay Kaise taqseer-e-istilam karein
Teri tal'at mah-e-Rabi mein hai Sakhawat-e-baaz deed-e-aam karein
Jal uthay ga yeh aalam-e-hasti Husn jab bhi woh be-niyam karein
Un ki zulfain lehar ke mehshar mein Badr ko bhi siyah-faam karein
Tere chehray ki chandni ke shaheed Hashr mein shikwa-e-zalaam karein
Kya ajab hai woh meharban ho kar Koi shab tere han qayam karein
Jin ko husn-e-azal mein dhalna ho Apne hone ka in'edaam karein
Tum man-o-tu ki uljhanon ke liye Aarifo! kyun nuzool-e-taam karein
Koi bijli jala hi de shayad Aao hum Toor par kharam karein
Tu bhi aa kassa-e-nazar le kar Taake hum lutf-e-deed-e-aam karein
Tu hamein yaad bhi kare na kare Hum tera zikr-e-subh-o-shaam karein
Raaz-e-hasti khulay nahi Tahir Matla hi maqta-e-kalam karein





