Man mohan ne roop nikala, us pe fida ghar baar Laag lagi hai, aag lagi hai, jeena hai dushwaar Tujh pe fida ghar baar
Rang shahabi, nain gulabi, mastana raftaar Saara jagat hai us par qurbaan us par jaan nisaar Tujh pe fida ghar baar
Jaan ke kyun anjaan bane ho, main hoon badi dukhiyar Tujh bin baabal koi nahi hai beri hai sansaar Tujh pe fida ghar baar
Tujh pe apna tan man vaaroon phoonk doon tujh par rain Be-kaj hoon deewani tori, preet gale ka haar Tujh pe fida ghar baar
Kis ka roop bhara hai tum ne, joban kis ka dhaara hai Main kya tujh se ishq karoon, bhagwan ko tujh se pyaar Tujh pe fida ghar baar
Saaya ban kar saath rahoon gi, tumre sagun din raat karoon gi Tori phaban par hoon gi tarpat aur charan parvaar Tujh pe fida ghar baar
Tarpat tarpat umar gujaari, hone lagi ab shaam Ek najariya tak le mujh ko, sun le haal-e-zaar Tujh pe fida ghar baar
Tum bin chain mila na kabhu bhi, kathan kati mori raat Kab se sajariya soni padi hai ab aa ja dildaar Tujh pe fida ghar baar
Jaise jale hai ban kar lakdi, aise jalti jaaun Jaan chali hai ban kar aansu, thaam le ae gham khwaar Tujh pe fida ghar baar
Tere dwaare aan padi hoon tujh pe najariya baandh khadi hoon Phansi bhanwar mein mori naiyya paar karo sarkaar Tujh pe fida ghar baar