Rahmat ka hai darwaza khula maang are maang Deta hai karam un ka sada maang are maang
Aa jaaye ga ek roz bhi Taiba se bulawa Har waqt Madine ki dua maang are maang
Mayoos na ho yeh mere lajpal ka dar hai Hai kis liye khamosh khara maang are maang
Bhar jaaye ga kashkol muradon se tera bhi Ban kar mere Aaqa ﷺ ka gada maang are maang
Sarkar ﷺ se Sarkar ﷺ ko maangoon ga Niazi Sarkar ﷺ ne jis waqt kaha maang are maang





