Rah-e-gum karda musafir ka nigahban tu hai Ufaq-e-jaan par misal-e-meh-e-taban tu hai
Tu jo mera hai toh main be-sar-o-saman hi bhala Lillah-il-hamd, ke mera sar-o-saman tu hai
Mujh ko kya ilm ke kis tarah badalti hain rutein Jab mere dasht-e-khazan par bhi gul-afshan tu hai
Us Khuda se mujhe kaise ho majal-e-inkar Jis ke shah-para-e-takhleeq ka unwan tu hai
Apne har azm ki takmeel par imaan hai mera Pas-e-har azm agar silsila-e-jumban tu hai
Tere dam se hamein irfan-e-Khudavand mila Nau-e-insan par Khudavand ka ehsan tu hai
Yeh batane ko ke ba-wazan hai insaan ki zaat Dast-e-Yazdan ne jo bakhshi hai, woh mizan tu hai
Khak mein aaj bhi hai goonj, tere qadmon ki Aur aflak ki wusat mein kharaman tu hai
Tu ne faqa bhi kiya, apna gareban bhi siya Aur phir Zaat-e-Ilahi ka bhi mehman tu hai
Tera kirdar hai ahkam-e-Khuda ki ta’eed Chalta phirta, nazar aata hua Quran tu hai
Rang ki qaid na qadghan koi naslon ki yahan Jis ke dar sab par khule hain woh dabistan tu hai
Mere naqqad ko shayad abhi maloom nahin Mera imaan hai mukammal, mera imaan tu hai





