Quwwat-e-ishq se har past ko baala kar de Dahr mein ism-e-Muhammad se ujaala kar de
Ho na yeh phool, to bulbul ka tarannum bhi na ho Chaman-e-dahr mein kaliyon ka tabassum bhi na ho
Yeh na saaqi ho to phir may bhi na ho, khum bhi na ho Bazm-e-tauheed bhi duniya mein na ho, tum bhi na ho
Khaima-e-aflaak ka istaada isi naam se hai Nabz-e-hasti tapish-e-aamaada isi naam se hai
Dasht mein, daaman-e-kohsaar mein, maidaan mein hai Bahr mein, mauj ki aagosh mein, toofaan mein hai
Cheen ke shehar, Marrakesh ke bayaabaan mein hai Aur posheeda Musalmaan ke imaan mein hai
Chashm-e-aqwaam yeh nazaara abad tak dekhe Riffat-e-shaan-e-rafa’na laka dhikrak dekhe



