Kabhi ay haqeeqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein Ke hazaron sajday tarap rahay hain meri jabeen-e-niyaz mein
Tu bacha bacha ke na rakh usay tera aaina hai woh aaina Ke shikasta ho to azeez tar hai nigah-e-aaina-saaz mein
Na kahin jahan mein amaan mili, jo amaan mili to kahan mili Meray jurm-e-khanah kharab ko teray afw-e-bandah nawaz mein
Na woh ishq mein rahin garmiyan, na woh husn mein rahin shokhian Na woh Ghaznavi mein tarap rahi, na woh kham hai zulf-e-Ayaz mein
Jo main sar-basajdah hua kabhi, to zameen se aanay lagi sada Tera dil to hai sanam aashna, tujhay kya milay ga namaz mein



