We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Har Lehza Hai MominNot Verified

Dr. Allama Muhammad Iqbal

Har lahza hai Momin ki nayi shaan nayi aan Guftar mein kirdar mein Allah ki burhan


Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabaroot Yeh chaar anasir hon to banta hai Musalman


Hamsaya-e-Jibreel-e-Ameen banda-e-khaki Hai is ka nasheman na Bukhara na Badakhshan



No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play


Yeh raaz kisi ko nahi maloom keh Momin Qari nazar aata hai haqeeqat mein hai Quran


Qudrat ke maqasid ka ayar is ke iraday Dunya mein bhi meezan, qayamat mein bhi meezan


Jis se jigar-e-lala mein thandak ho woh shabnam Daryaoon ke dil jis se dehal jayen, woh toofan


Fitrat ka sarood-e-azali is ke shab-o-roz Aahang mein yakta sifat-e-Surah-e-Rehman


Bantay hain meri kargah-e-fikr mein anjum Le apnay muqaddar ke sitaray ko tu pehchan

No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah