Khudi ka sirr-e-nihan La ilaha illa Allah Khudi hai tegh-e-fasan La ilaha illa Allah
Yeh daur apne Ibrahim ki talash mein hai Sanam-kadah hai jahan La ilaha illa Allah
Kiya hai tu ne mata-e-ghuroor ka sauda Fareeb-e-sood-o-ziyan La ilaha illa Allah
Yeh maal-o-daulat-e-dunya yeh rishta-o-paiwand Butan-e-wahm-o-guman La ilaha illa Allah
Khirad hui hai zaman-o-makan ki zunnari Na hai zaman na makan La ilaha illa Allah
Yeh naghma fasl-e-gul-o-lalah ka nahin paband Bahar ho keh khizan La ilaha illa Allah
Agarchay but hain jamaat ki aastinon mein Mujhe hai hukm-e-azaan La ilaha illa Allah



