Mujh ko to apni jaan se bhi pyara hai un ka naam Shab hai agar hayat , sitara hai un ka naam
Tanhai kis tarah mujhe mahsoor kar sake Jab mere dil mein anjuman aara hai un ka naam
Har shakhs ke dukhon ka madawa hai un ki zaat Sab pashikastagaan ka sahara hai un ka naam
Be-yaaron , be-kason ka asasa hai un ki yaad Be-chargaan-e-dahr ka chara hai un ka naam
Lab waa rahein to ism-e-Muhammad ada na ho Izhaar-e-mudda'a ka ishara hai un ka naam
Lafz-e-Muhammad ﷺ asal mein hai nutq ka jamaal Lahne-Khuda ne khud hi sawara hai un ka naam
Quran paak un pe utara gaya Nadeem Aur main ne apne dil mein utara hai un ka naam





