Meri pehchan hai seerat un ki Mera imaan mohabbat un ki
Dekh kar Ghare-e-Hira sochta hoon Kitni bharpoor thi khalwat un ki
Pattharon mein bhi lahoo daud gaya Is qadar aam thi rehmat un ki
Aaj hum falsafa kehte hain jise Woh musawat thi aadat un ki
Fatah-e-Makkah mere daaway ki daleel Adl ki jaan adalat un ki
Irtaqa is se ijazat mange Un ki ho jaye jo ummat un ki
Main ke raazi ba-razaye Rabb hoon Koi hasrat hai to hasrat un ki
Waqt aur faasla bar-haq lekin Mera fan karta hai bai'at un ki
Mera mayar-e-ghazal khwani hai Harf-e-saada mein balaghat un ki
Naat meri hai, ishara un ka Phool mere hain to naghat un ki
Main ke har haal mein hoon shukar-e-Tab Koi haajat hai to haajat un ki
Kibriyai par karoon ghaur, Nadeem Aur takta rahoon soorat un ki





