Meri hayat ka gar tujh se intisab nahin To phir hayat se barh kar koi azab nahin
Umarh rahi hain agar aandhiyan, to kya gham hai Ke mera khaimat-e-iman be-tanab nahin
Tera gada hoon, aur is anjuman mein baitha hoon Jis anjuman mein salateen bhi baryab nahin
Tere kamal-e-musawat ki qasam hai mujhe Ke tere deen se bara koi inqilab nahin
Sadi sadi ki tawareekh-e-adamiyat mein Teri misaal nahin hai, tera jawab nahin
Nadeem par tere ehsan hain is qadar jin ka Koi shumar nahin hai, koi hisab nahin





