Mere azm-e-safar ko bakhsh de tu hosla ya Rab Jhalak to apne dar ki dekhne ko ab bula ya Rab
Jahan zikr-e Khuda se noor paata hai har ek chehra Humein bhi haazri ka izn karna to ata ya Rab
Khuli aankhon se dekhun to nazar bas to hi aata hai Bhatak jaoonga main, mat khud se to karna juda ya Rab
Meri har saans mein dhadkan mein bas Allah hi Allah hai Yahi kalima rahe lab pe mere jaari sada ya Rab
Teri makhlooq se karta nahin hoon main to ab nafrat Hazifah ka hai Maula tu, to hi dega jazaa ya Rab





