Nabi ﷺ ke deen ko bachaya mere Hussainؑ ne tha Kalam-e Rabb bhi sunaya mere Hussainؑ ne tha
Sabhi hairaan khade dekhte soye maqtal Jo kanbah apna lutaya mere Hussainؑ ne tha
Jawaab saare sawaalon ke aap ne the diye Har ek ko sab to bataya mere Hussainؑ ne tha
Yeh kaise bhoolenge Karbala se nanhe Asghar ka Tarapata laash uthaya mere Hussainؓ ne tha
Shahid ho ke Huzayfa Ali ke laadlay ne Yazidiyat ko mitaaya mere Hussainؑ ne tha





