Main ne maana ke woh mera hai to sab ka bhi wahi Mujh ko yeh naaz woh sab ka hai to mera bhi wahi
Sar uthata hoon to aflak ko mas karta hai Ke jo mehboob-e-Khuda hai mera apna bhi wahi
Misl us ka koi aaya hai, na ab aayega Mera maazi bhi wahi hai, mera farda bhi wahi
Woh meri aql mein hai, woh mere wijdaan mein hai Meri duniya bhi wahi hai, meri uqba bhi wahi
Us ke ehkaam bhi kaliyon si chatak rakhte hain Mera aaqa bhi wahi hai, mera pyara bhi wahi
Woh jo barsa, meri tashkeek ke sehraon par Mere wehmon ki shab-e-taar mein chamka bhi wahi
Kitni sadiyon se hai woh Gumbad-e-Khizra mein makeen Aur har daur mein har samt, ho paida bhi wahi
Woh bashar hai ke yahi us ka hai irshaad, magar Is jahan-e-bashariyat mein hai yakta bhi wahi
Garche parkaar-e-mashiyat ka wahi daira hai Lekin is daire ka markazi nuqta bhi wahi
Jis ke insaaf ne patthar ko bhi bakshi hai zabaan Be-nawaon ki nawaon ko sunega bhi wahi





