We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Kuch Ashk Daroodon KeNot Verified

Abdul Sattar Khan Niazi

Kuch ashk duroodon ke, kuch haar duroodon ke Yeh le ke chalenge soghat Madine mein



Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play


Aao bhi gunahgaro, pahunchu bhi Madine mein Batti hai shafa'at ki khairaat Madine mein


Ae mera Khuda aaye ek din toh woh din aisa Makkah mein jo din guzre, ho raat Madine mein


Isyan ki siyahi ko dho daale jo dam bhar mein Hoti hai woh rehmat ki barsaat Madine mein


Yeh aas Niazi hai dulha ki ziyarat ho Jaayegi ghulamon ki baaraat Madine mein

Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah