Kya theek ho rukh-e-Nabvi par misaal-e-gul Paamal jalwa-e-kaf-e-pa hai jamaal-e-gul
Jannat hai un ke jalwa se joo-ya-e-rang-o-boo Aye gul hamare gul se hai gul ko sawaal-e-gul
Un ke qadam se sal’a-e-ghali hui jina Wallah mere gul se hai jah-o-jalaal-e-gul
Sunta hoon ishq-e-Shah mein dil ho ga khoon-fishan Ya Rabb yeh muzda sach ho mubarak ho faal-e-gul
Bulbul haram ko chal gham-e-fani se faida Kab tak kahe gi haaye woh ghunj-o-dalaal-e-gul
Ghamgeen hai shauq-e-ghaza-e-khak-e-Madinah mein Shabnam se dhul sake gi na gard-e-malaal-e-gul
Bulbul yeh kya kaha main kahan fasl-e-gul kahan Umeed rakh ke aam hai jood-o-nawaal-e-gul
Bulbul! ghira hai abr-e-wala muzda ho ke ab Girti hai aashiyana pe barq-e-jamaal-e-gul
Ya Rabb hara bhara rahe daagh-e-jigar ka baagh Har mah mah-e-bahaar ho har saal saal-e-gul
Rang-e-mizhgan se kar ke khajil yaad-e-Shah mein Kheencha hai hum ne kanton pe atar-e-jamaal-e-gul
Main yaad-e-Shah mein rowoon anadil karein hujoom Har ashk lala-faam pe ho ehtimaal-e-gul
Hain aks-e-chehra se lab-e-gulgoon mein surkhiyan Dooba hai badr-e-gul se shafaq mein hilaal-e-gul
Naat-e-Huzoor mein mutarannum hai andaleeb Shakhon ke jhoomne se ayan wajd-o-haal-e-gul
Bulbul gul-e-Madinah hamesha bahaar hai Do din ki hai bahaar fana hai ma’aal-e-gul
Shaikhain idhar nisaar, Ghani-o-Ali udhar Ghuncha hai bulbulo ka yameen-o-shimaal-e-gul
Chahe Khuda to payein ge ishq-e-Nabi mein khuld Nikli hai nama-e-dil-e-pur-khoon mein faal-e-gul
Kar us ki yaad jis se mile chain andaleeb Dekha nahin ke khaar-e-alam hai khayal-e-gul
Dekha tha khwab-e-khaar-e-haram andaleeb ne Khatka kiya hai aankh mein shab bhar khayal-e-gul
Un do ka sadqa jin ko kaha mere phool hain Keeje Raza ko hashr mein khandan misaal-e-gul





