Kitna saada bhi hai saccha bhi hai mayaar un ka Un ki guftaar ka aaina hai kirdar un ka
Un ko maanga jo Khuda se to sabhi kuch maanga Kyun talabgaar ho auron ka talabgaar un ka
Un ke paikar mein mohabbat ko mili hai tajseem Pyaar karta hai har insaan se, parastaar un ka
Wohi, zulmaat ki rag rag mein utarta hua noor Main to kar leta hoon har subah ko deedar un ka
Aye Khuda! Ajr ke elaan se pehle sun le Mujh ko jannat se siwa saaya-e-deewar un ka
Pas har harf wohi jalwa-fagan rehte hain Meri maanind mera fan bhi wafadaar un ka





