Khuda ka zikr kare zikr-e-Mustafa na kare Hamare munh mein ho aisi zabaan Khuda na kare
Kaha Khuda ne shafa'at ki baat mehshar mein Mera habeeb kare koi doosra na kare
Madine ja ke nikalna na shehar se bahar Khuda na kare yeh zindagi wafa na kare
Aseer jis ko bana kar rakhein Madine mein Tamaam umr rihayi ki woh dua na kare
Nabi ke qadmon mein jis dam ghulam ka sar ho Qaza se keh do ke ek lamha bhi qaza na kare
Sha'oor-e-naat bhi ho aur zabaan bhi ho Adeeb Woh aadmi nahin jo un ka haq ada na kare


