Ya Muhammad noor-e-mujassam ya habibi ya maulai Tasveer-e-kamaal-e-mohabbat tanveer-e-jamaal-e-khudaai
Tera wasf bayaan ho kis se Teri kaun kare ga barai Is gard-e-safar mein gum hai Jibreel-e-ameen ki rasaai
Teri ek nazar ke taalib Tere ek sukhan pe qurbaan Yeh sab tere deewane Yeh sab tere shaidaai
Yeh rang-e-bahaar-e-gulshan Yeh gul aur gul ka joban Tere noor-e-qadam ka dhovan Is dhovan ki raanaai
Ma-ajmalaka teri soorat Ma-ahsanaka teri seerat Ma-akmalaka teri azmat Teri zaat mein gum hai khudaai
Aye mazhar-e-shaan-e-jamali Aye khwaja-e-banda-e-aali Mujhe hashr mein kaam aa jaaye Mera zauq-e-sukhan-aaraai
Tu raees-e-roz-e-shafa'at Tu ameer-e-lutf-o-inaayat Hai Adeeb ko tujh se nisbat Yeh ghulaam hai tu aaqaai


