Mudda'a zeest ka main ne paaya Rahmat-e-Haq ne kiya phir saaya Mere Aaqa ne karam farmaya Phir Madine ka bulawa aaya Pehle kuch ashk baha loon to chaloon Ek nayi naat suna loon to chaloon Sayyidi anta habibi...
Shukr mein sar ko jhukane ke liye Daagh-e-hasrat ko mitane ke liye Bakht-e-khwabida jagane ke liye Un ke darbar mein jaane ke liye Apni auqaat bana loon to chaloon Ek nayi naat suna loon to chaloon Sayyidi anta habibi...
Pehle ashkon ke dariche kholoon Ka'bat-e-dil ko phir is mein toloon Gham ki meezan pe ise phir toloon Mushk phoote jo zara lab kholoon Is mein har saans basa loon to chaloon Ek nayi naat suna loon to chaloon Sayyidi anta habibi...
Naat jo abr-e-karam kehlaaye Naat jo ishq ki surat ban jaaye Naat hi dard ka darmaan kehlaaye Jis pe Aaqa ki tawajjah ho jaaye Apne honton pe saja loon to chaloon Ek nayi naat suna loon to chaloon Sayyidi anta habibi...
Dil yeh kehta hai machal jaane do Ashk kehta hai beh jaane do Sar hai bechain ke jhuk jaane do Rooh kehti hai ke ud jaane do Sab ko ek baar sambhaalon to chaloon Ek nayi naat suna loon to chaloon Sayyidi anta habibi...


