Jo bhi hum ne din guzarey darbar-e-Mustafa ﷺ mein The woh lamhay kitnay payaray darbar-e-Mustafa ﷺ mein
Hamein kya gharz kisi se hamein kya kisi se matlab Hain hamaray toh guzaray darbar-e-Mustafa ﷺ mein
Jo ata kiya Nabi ne na ata kiya kisi ne Kabhi chal o bay saharay darbar-e-Mustafa ﷺ mein
Subh-o-shaam walahanah woh salaam aajizanah Thay ajeeb hi nazaray darbar-e-Mustafa ﷺ mein
Aye meray hamnawaao unhein kya kahoon bataao Hain yeh aansoo ya sitaray darbar-e-Mustafa ﷺ mein
Woh Khuda ka bhi nahi hai na hi us ka koi deen hai Na naseeb jo sanwaray darbar-e-Mustafa ﷺ mein
Allah zaroor Nasir us ko ata karay ga Ke Khuda ko jo pukaaray darbar-e-Mustafa ﷺ mein





