Tareek fazaon ko ziya aap hi denge Bimar hai mahol dawa aap hi denge
Jo naat sunao to rakho yeh bhi aqeeda Midhat ka sana-khwan ko sila aap hi denge
Jis waqt kahin hogi amaan aur na saya Us waqt bhi daaman ki hawa aap hi denge
Pehle bhi mere paas hai jo unka diya hai Aur ab bhi mujhe bahra-e-Khuda aap hi denge
Pehle bhi ata aap hi farmate rahe hain Aur ab bhi jo ji chahe tera aap hi denge
Tu unke mahasin ko qalam-band kiye ja Har sher ko ik rang naya aap hi denge
Sarkar ne hi rashk-e-jinan shehr dikhaya Nasir ko Madine mein jagah aap hi denge





