Humein apna woh kehte hain mohabbat ho to aisi ho Humein rakhte hain nazaroon mein inaayat ho to aisi ho Woh patthar maarne walon ko dete hain dua aksar Koi laaye misaal aisi sharafat hoti to aisi ho Ishara jab woh farmaayen to patthar bol uthte hain Nubuwwat ho to aisi ho Rusalat hota to aisi ho Wahan mujrim ko milti hain panahain bhi jazayen bhi Madinah mein julgti hai adalat ho to aisi ho Hai Aqa ki waladat par hoye sab ko ata betaay Usay milad kehte hain waladat ho to aisi ho Namaz-e-Asr ko qurbaan karke un ki hasti par Ali Maula ne batlaya ibadat ho to aisi ho Husain ibn Ali ne Karbala mein yeh kya thabit Rahe jaari jo nize par tilawat ho to aisi ho Zamin wa Aasmaan walay bhi aate hain ghulamana Haqiqat hai yehi Naseer hukumat ho to aisi ho





