Jamal-e-Gumbad-e-Khizra ajeeb hota hai Kisi kisi ko yeh manzar naseeb hota hai
Is ek lamhe ka ahwal ho sake na bayaan Gunahgaar jab un ke qareeb hota hai
Yeh pooch ahl-e-nazar se keh jaaliyon ke qareeb Dil-o-nazar se tawaaf-e-habeeb ﷺ hota hai
Bade bade isse jhuk kar salaam karte hain Gada-e-koo-e-Nabi ﷺ kab ghareeb hota hai
Jamal-e-yaar ki hasrat mein jo mareez hua Jamal-e-yaar hi us ka tabeeb hota hai
Zahoori jis pe nigah-e-karam Huzoor ﷺ karein Khuda ka banda wahi khush naseeb hota hai





