Ilaj-e-gardish-e-lail-o-nahar tu ne kiya Ghubar-e-rah ko chhoo kar bahar tu ne kiya
Har aadmi ko tashakhus mila tere dam se Jo be-shumar thay, un ko shumar tu ne kiya
Utha ke qaar-e-mazallat se ibn-e-Adam ko Waqar tu ne diya, ba-waqar tu ne kiya
Koi na jin ki sunay un ki baat tu ne suni Mila na pyar jinhein, un se pyar tu ne kiya
Agar gareeb ko bakhshay huqooq-e-la-mehdood Toh qasr-e-shah ko bhi be-hisar tu ne kiya
Jinhein gumaan thay bohat, apni sarfarazi ke Ba-yak nigah unhein, khaksar tu ne kiya
Dil-o-dimagh ke sab chand ho chukay thay ghuroob Yeh woh ufaq hai, jisay tab-dar tu ne kiya
Jamal-e-qowl-o-amal ho ke husn-e-sidq-o-safa Khuda ne jo bhi diya, payedar tu ne kiya
Jab un ke nutq ko pohnchi, tere yaqeen ki aanch Jo be-zabaan thay, unhein sho'la-bar tu ne kiya
Yeh lutf Ghalib o Iqbal tak nahi mehdood Nadeem ko bhi sadaqat-nigar tu ne kiya





