Gham-e-Habib ko seenay mein paal rakha hai Yahi najaat ka rasta nikaal rakha hai
Teri misaal zamanay mein ho nahi sakti Meray Khuda ne tujhay be-misaal rakha hai
Har aarhay waqt mein farmai dastgeeri meri Huzoor ne mera kitna khayal rakha hai
Har ek simt ayaan hain kahan kahan dekhein Teray jamaal ne hairat mein daal rakha hai
Meri hayaat ne un ka khayal rakha hai Khuda ka shukr hai gudri mein laal rakha hai
Hum un ko hashr mein kya munh dikhayenge Nayyar Azal se zehan mein bas yeh sawaal rakha hai



