Sark-o-shabir ne katwaya ibadat karte Zer-e-khanjar rahe Quran ki tilawat karte
Kar ke qurban mata-e-dil-o-jaan Ibn-e-Ali ؑ Chal diye jabr ko aur zulm ko gharat karte
Tha ajab Shah ka andaaz-e-shujaat ran mein Dushman-e-jaan bhi rahe dekh ke hairat karte
Tishna lab reh ke, diya tishna labon ko paani Karbala mein bhi rahe aap sakhawat karte
Main Muhammad ﷺ ka nawasa hoon mujhe pehchano Har qadam par rahe aap sakhawat karte
Kaash qadmon mein bula lete Hussain ؑ Ibn-e-Ali ؑ Kaash hum bhi dar-e-aqdas ki ziyarat karte
Umr kat jaaye meri un ki sana khwani mein Maut aa jaaye mujhe Shah ki midhat karte Dasht-e-Karbal mein Hussain ؑ Ibn-e-Ali ؑ ne Nayyar ؔ Sar diya deen-e-Muhammad ﷺ ki hifazat karte



