Duniya hai ek dasht, toh gulzar aap hain Is teergi mein, matla-e-anwar aap hain
Yeh bhi hai sach keh aap ki guftar hai jameel Yeh bhi hai haq, keh sahib-e-kirdar aap hain
Ho lakh aftab-e-qayamat ki dhoop tez Mere liye toh saya-e-deewar aap hain
Yeh fakhr kam nahin keh main hoon jis ki gard-e-rah Us qafle ke qafila salar aap ﷺ hain
Darbar-e-Shah mein bhi main agar sarkasheeda hoon Is ka hai yeh sabab mera pindar aap hain
Mujh ko kisi se hajat-e-chara gari nahin Har gham mujhe aziz keh gham khwar aap ﷺ hain
Mujh par ba-jurm-e-ghurbat-o-daman dareedagi Sab log khanda zan hain toh talabgar aap hain
Insaan maal-o-zar ke junoon mein hain mubtala Is hashr mein Nadeem ko darkar aap hain





