Deewane Mustafa ke khushiyan mana rahe hain Shah-e-Arab jahan mein tashreef la rahe hain
Barah Rabi-ul-Awwal Aaqa ka noor utra Rooh-ul-Amin aa kar Ka'aba saja rahe hain
Dekha jo ambiya ne sab yak-zaban pukare Sarkar aa rahe hain, Sarkar aa rahe hain
Yeh aamad-e-Nabi pe dekha ajeeb manzar Toofan mil ke saare sham'ein jala rahe hain
Le kar bahar utri rangon ki aaj mala Orhay ridaye-shabnam gul muskura rahe hain
Wah wah Janab-e-Hashim milad ki khushi mein Faiz-o-karam ki khushbu har su luta rahe hain
Ghar ghar mein mehfilein hain milad-e-Mustafa ki Sall-e-Ala ke naghme sad shauq ga rahe hain
De kar mubarkein hum dar-e-Aminah pe pehle Baba-e-Murtaza ko sehra suna rahe hain
Zehra ke ghar ki chakki se mil raha hai husni Aal-e-Nabi ka sadqa hum jo bhi kha rahe hain



