Chamak jaaye muqaddar ka sitara Ya RasoolAllah ﷺ Bas itna kaam ho jaaye khudara Ya RasoolAllah ﷺ
Sahara chahiye ummat ki kashti dagmagati ko Karam ki ik nazar degi kinara Ya RasoolAllah ﷺ
Shafaat ka jahan ho manba-e-jood-o-sakha Aaqa ﷺ Sarapa masiyat daaman hamara Ya RasoolAllah ﷺ
Na ho jis mein khushboo Madine ki fizaon ki Nahi aisi koi jannat gawara Ya RasoolAllah ﷺ
Sada mushkil kushai ke liye tashreef laaye hain Jahan bhi Aap ko jis ne pukara Ya RasoolAllah ﷺ
Khuda-e-lam yazal ki mehfil-e-anjum adhoori thi Huye na Aap jab tak bazm aara Ya RasoolAllah ﷺ
Huin jin par ata ki barishein, un khush naseebon ki Qadam bosi kare aalam yeh sara Ya RasoolAllah ﷺ
Kahan hasrat rahi khuld-e-bareen ki un faqiron ko Mila ho jin ko bas Madani dwara Ya RasoolAllah ﷺ
Khada hai Sabri bhi daaman-e-umeed phailaaye Mile us ko bhi rehmat ka ishara Ya RasoolAllah ﷺ


