Chale hain su-e-Tayyaba qafiley phir Barhay jatay hain mere faasley phir
Talab-gar nigah-e-Shah-e-Deen hain Mere auraq mere hashye phir
Suna hai un ki tashreef-awari hai Sajaye ja raha hoon raaste phir
Mere halaat Aaqa jante ho Mujhe kehna nahin kuch aap se phir
Hai rashk-e-lala-o-gul ki jo aamad Muattar ho rahe hain rat jagay phir
Tawaf-e-Rauza-e-Athar karein toh Chamak patay hain saare aainay phir
Mata-e-ishq seenon mein agar ho Janam letay nahin hain waswasay phir
Qalam uthay teri tauseef ko jab Utartay hain radeef-o-qafiye phir
Bulawa chahye Tayyaba nagar se Basay yeh Sabri ya chal basay phir


