Bayaan ho kis se kamaal-e-Muhammad-e-Arabi Hai be-misaal jamaal-e-Muhammad-e-Arabi
Durood kyun nahin parhte khamosh kaise ho Bayaan hota hai haal-e-Muhammad-e-Arabi
Majaal kya hai ke ins-o-malak karen tareef Khuda se puchiye haal-e-Muhammad-e-Arabi
Yeh jaan kya do-jahan gar mujhe muyassar hon Karon fida ba-jamaal-e-Muhammad-e-Arabi
Naraft la ba-zabaan-e-mubarakash hargiz Ajab hai jood-o-nawaal-e-Muhammad-e-Arabi
Zamana palta hai us aastan-e-aali se Ajab hai jood-o-nawaal-e-Muhammad-e-Arabi
Nabi ke naam se tharrate hain shahaan-e-jahan Bara hai rob-o-jalaal-e-Muhammad-e-Arabi
Ziyaarat-e-Nabvi deed-e-Haq-e-Ta'ala hai Visaal-e-Haq hai visaal-e-Muhammad-e-Arabi
Ilahi ummat-e-aasi mari mujhe de daal Yahi hai Rab se sawaal-e-Muhammad-e-Arabi
Laga rahe hain hamesha se mehr-o-mah chakkar Mila na koi misaal-e-Muhammad-e-Arabi
Bajaye surma lagaaun use main aankhon mein Mile jo khaak-e-na'al-e-Muhammad-e-Arabi
Main le ke kya karoon hoor-o-qasoor ae Rizwaan Khuba nazar mein jamaal-e-Muhammad-e-Arabi
Farishto qabr mein mujh se samajh ke karna sawaal Main hoon ghulaam-e-Bilaal-e-Muhammad-e-Arabi
Andheri raat na hogi mari lahad ki kabhi Main hoon ghulaam-e-Bilaal-e-Muhammad-e-Arabi
Giyaah-o-khaar-o-khas-o-khaak se woh badtar hai Nahin hai jis ko khayaal-e-Muhammad-e-Arabi
Jameel-e-Qadri shukr-e-Khuda ke tu bhi hua Ghulaam-e-itrat-o-aal-e-Muhammad-e-Arabi





