Aisa talib koi nahin hai jaisa Haq Ta'ala hai Koi nahin mehboob bhi aisa jaisa Taibah wala hai
Taha ka sar pe taj saja hai dosh pe noor ka bala hai Ankhon mein Ma-zagha ka gajra Aap Khuda ne dala hai
Duniya kehti hai yeh Halimah tune Nabi ﷺ ko pala hai Main kehta hoon tujh ko Halimah mere Nabi ﷺ ne pala hai
Apni bakhshish apni bhalai ka yeh kaam nikala hai Apne Nabi ﷺ ke gan gaate hain jab se hosh sambhala hai
Dekhne walon ne dekha hai woh bhi manzar ankhon se Sattar peene wale hain aur doodh ka ek pyala hai
Jagmaga jagmaga zarra zarra roshan gosha gosha hai Aminah bi ke chand ka sadqa ghar ghar noor ujala hai
Koi nahin gham tod le rishta mujh se Niazi yeh duniya Mera wali mera aqa shehr-e-Madine wala ﷺ hai





