Jaan-o-dil se tum pe meri jaan qurbaan Ghous-e-Paak Hai salamat tum se mera deen-o-imaan Ghous-e-Paak
Main tera adna bhikari tu mera sultan hai Hai qasam Haq ki yeh mera deen-o-imaan Ghous-e-Paak
Main tera mamlook tu maalik main banda tu hai shah Tu Sulaiman aur main moor-e-Sulaiman Ghous-e-Paak
Sajdagah-e-awliya-e-dahar hai naqsh-e-qadam Aur teri na’al-e-muqaddas taj-e-shahan Ghous-e-Paak
Awliya hain sab salateen hum ra’aya-o-ghulaam Awliya sab hain ra’iyat aur sultan Ghous-e-Paak
Haath khaali roo-siyah aasi yeh sab kuch hoon magar Naam hai tera mere seene mein pinhaan Ghous-e-Paak
Aap ki chashm-e-karam ka ik ishara ho agar Do-jahaan ki mushkilein ho jaayen aasaan Ghous-e-Paak
Naaz qismat pe karoon paaon jahaan ki sarwari Teri chaukhat ka agar ban jaaun darbaan Ghous-e-Paak
Kab bulaayen apne dar par kab rukh-e-anwar dikhaayen Kab nikaalen dekho mere dil ka armaan Ghous-e-Paak
Meri aankhein tera gumbad teri chaukhat mera sar Mera laasha aur ho tera bayaabaan Ghous-e-Paak
Zindagi mein naz’a mein marqad mein hashr-o-nashr mein Har jagah hain apne bandon ke nighebaan Ghous-e-Paak
Aap ka naam-e-muqaddas mere dil par naqsh hai Meri bakhshish ke liye kaafi hai saamaan Ghous-e-Paak
Hum bhi isyaan le ke jaayenge badalne ke liye Hashr mein kholenge jab rehmat ki dukan Ghous-e-Paak
Koi pooche ya na pooche baat kuch khatra nahin Hashr mein hain hum gunahgaron ke pursaan Ghous-e-Paak
Pursish-e-a’maal ka hai waqt Maula al-madad Naam lewon ko chhupa lo zer-e-daaman Ghous-e-Paak
Bheja tu ne hi Moinuddin Chishti ko yahan Hind mein tere sabab se hain musalman Ghous-e-Paak
Tere hote saate aaye yun musalmanon mein za’f Al-madad Ya Abdul Qadir Shah-e-Jeelan Ghous-e-Paak
Kaale kaale kufr ke baadal umand kar aaye hain Al-madad Ya Qutb-e-Aalam Shah-e-Jeelan Ghous-e-Paak
Lut raha hai qaafila Baghdad waale le khabar Al-madad Mehboob-e-Subhan Shah-e-Jeelan Ghous-e-Paak
Zaalimon ne zulm se bandon ko kar daala halak Al-madad Baghdad waale Shah-e-Jeelan Ghous-e-Paak
Hai kidhar aa dekh tu bandon ki kya haalat hui Ae mere Baghdad waale Shah-e-Jeelan Ghous-e-Paak
Laaj waale sunniyon ki laaj tere haath hai Qadri manzil ke dulha Shah-e-Jeelan Ghous-e-Paak
Ho Raza par lutf tera hum pe un ka lutf ho Un ka daaman hum pe un par tera daaman Ghous-e-Paak
Keejiye imdaad izzat do-jahaan mein deejiye Hai Jameel Qadri adna sana-khwan Ghous-e-Paak





