Ghaus-e-Azam Dastgir-e-bekasaan Ghaus-e-Azam rahnuma-e-gumrahaan
Ghaus-e-Azam bekasoon ke daad ras Ghaus-e-Azam khalq ke faryad ras
Ghaus-e-Azam gulshan-e-Zahra ke phool Ghaus-e-Azam qurratul ain-e-Rasool
Ghaus-e-Azam doobton ke nakhuda Ghaus-e-Azam Muhyid-Deen-e-Mustafa
Ghaus-e-Azam waqif-e-asrar-e-Hu Ghaus-e-Azam sirr-e-qudrat mobamo
Ghaus-e-Azam shahbaz-e-lamakaan Jin ki nazron mein zameen-o-aasamaan
Ghaus-e-Azam sahib-e-aiwan-o-takht Jis ne choron ko banaya Qutb-e-waqt
Ghaus-e-Azam muttaqi har aan mein Chora maan ka doodh bhi Ramzan mein
Ghaus-e-Azam ki nigah-e-lutf se Nikle barah saal ke doobe hue
Ghaus-e-Azam ab madad ki baar hai Salik-e-khasta naheef-o-zaar hai
Ghaus-e-Azam darmiyan-e-auliya Choon janab-e-Mustafa dar ambiya





