Zarr-e is khaak ke tabinda sitaray honge Jis jagah Aap ne na'lain utaray honge
Boo-e-gul is liye phirti hai chhupaye chehra Gaisu Sarkar-e-Do-Alam ne sanwaray honge
Is taraf barish-e-anwar-e-musalsal hogi Jis taraf chashm-e-Muhammad ke isharay honge
Hum bhi pahunchenge Shah-e-Arz-o-Sama ke dar par Auj par jab bhi kabhi bakht hamaray honge
Arz-e-Taibah tujhe dekhe koi ba-deedah-e-dil Su-ba-su rahmat-e-Alam ke nazaray honge
Ek main kya meray Shaha ke shehenshahon ke Teray tukron pe shab-o-roz guzaray honge
Log to husn-e-amal le ke chale roz-e-hisab Sarwaraﷺ! hum to faqat teray saharay honge
Uth gayi jab teri janib woh karam-bar nazar Us ghari Qutub teray waray-niyaray honge





