Ata-e-Khaliq-e-arz-o-sama hai Ke lab par aaj naat-e-Mustafa hai
Bulaya arsh par jin ko Khuda ne Unhi ki zaat mehboob-e-Khuda hai
Jahan Jibreel hai ik sawali Yaqeenan woh dar-e-Khair-ul-Wara hai
Phirte hain nazar mein dar-o-deewar-e-Madinah Hain rashk-e-jinan kucha-o-bazaar-e-Madinah
Yeh noor ki basti hai ke jalwon ka nagar hai Allah re tabani-e-anwar-e-Madinah
Har saans mein bo-baas hai hub-e-Nabawi ﷺ ki Mehka gayi rainai-e-gulzar-e-Madinah
Paband-e-adab chahiye saans aur nazar bhi Nazuk hai bohat arsh se darbar-e-Madinah
Dil kyun na ho mamoor Shah-e-Deen ﷺ ke karam se Jab rehte hain dil mein mere sarkar ﷺ Madinah
Guzre hain isi rah se kharaman Shah-e-Wala ﷺ Haan Qutub-e-pata dete hain asaar-e-Madinah





