Phirte hain nazar mein dar-o-deewar-e-Madinah Hain rashk-e-janaan koocha-o-bazaar-e-Madinah
Yeh noor ki basti hai ke jannat ka nagar hai Allah re taabani-e-anwaar-e-Madinah
Har saans mein boo-baas hai hub-e-Nabwi ki Mehka gayi ra'naai-e-gulzar-e-Madinah
Paaband-e-adab chahiye saans aur nazar bhi Naazuk hai arsh se bahut darbar-e-Madinah
Dil kyun na ho ma'moor Shah-e-Deen ke karam se Jab rehte hain dil mein mere sarkar-e-Madinah
Guzre hain isi rah se khuraamaan Shah-e-Wala Haan Qutub pata dete hain aasar-e-Madinah