We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Zair Koe JanaanNot Verified

Hanif Nazish

Zair-e-koo-e-jinan aahista chal Dekh aaya hai kahan aahista chal


Jaise jee chaahe jahan mein ghoom phir Yeh Madinah hai yahan aahista chal


Haaziri mein hain malak sattar hazaar Qudsiyon ke darmiyan aahista chal



Get Lyrics On-The-Go! Download Our App Now!

Get it on Google Play


Bargah-e-naaz mein aahista bol Ho na sab kuch raayegan aahista chal


Dar pe pahuncha hoon bari muddat ke baad Ae meri umr-e-rawan aahista chal


Dar pe pahuncha hoon jo main qismat se aaj Kyun kahoon umr-e-rawan aahista chal


Dekh loon jee bhar ke shehr-e-Mustafa Hai woh Naazish meherban aahista chal

No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah