Kitni pur-noor haseen hai ba-Khuda aaj ki raat Zaray zaray ki nirali hai ada aaj ki raat
Raaz ki baton ke laiq na thi qasid ki zabaan Is liye khud hi kaha jo bhi kaha aaj ki raat
Jab unhein Sidra se jaatay huay tanha paaya Poocho Jibrael ؑ se Sarkar ﷺ ko kaisa paaya
Phool khursheed, saba, chand sitaray shabnam Jis ko paaya dar-e-Mehboob ﷺ ka mangta paaya
Chaalt badal ne sukoon bahr ne khushbu gul ne Jis ne jo chaha hai Sarkar ﷺ ka sadqa paaya
Jab sar-e-bazm kabhi naat sunayi Nazish Daad ke roop mein rehmat ka khazana paaya