Talengi pal mein sabhi mushkilein durood parhein Sahar duaaon mein guzrein shabein durood parhein
Durood-e-Pak ke sadqay Khuda Madinah ki Dikhaye aap ko bhi ronaqein durood parhein
Ae mere qalb-e-pareshan idhar udhar na bhatak Maza to jab hai teri dhadkanein durood parhein
Riyaz-e-khuld mein pahunchain idhar naseebon se Sunein farishton ki waan aahtein durood parhein
Salaam bheje Nabi ko har aati jaati ghari Tamaam roop badalti ratein durood parhein
Ajab maza hai ibaadat ka un ki masjid mein Badan namazein parhein niyatein durood parhein
Basi ho dil mein agar shaan-e-Sayyid-e-Abrar To kyun na barbat-e-dil ki dhadkanein durood parhein
Madinah walon ki aadat hai yeh pasandeeda Ke jab bhi bichrein bichar kar milein durood parhein
Dar-e-Rasool pe Nazish bicha ke daaman-e-dil Dua-e-haziri karte rahein durood parhein