Yun zehan mein jamal-e-risalat sama gaya Mera jahan-e-fikr-o-nazar jagmaga gaya
Khulq-e-azeem-o-uswa-e-kamil huzoor ﷺ ka Adaab-e-zeest saare jahan ko sikha gaya
Us ke qadam se phoot para chashma-e-bahaar Woh dasht-e-zindagi ko gulistan bana gaya
Anwar-e-Haq se jis ne bhara daman-e-hayat Jo nikhat-e-wafa se zamane basa gaya
Kitna bada karam hai ke Taib sa be-hunar Tauseef-e-Mustafa ﷺ ke liye chun liya gaya





