Lafz ke bas mein na tha arz-e-tamanna karna Raas aaya mujhe ashkon ko vaseela karna
Un ke daaman bhi muraadon se vahi bharte hain Umar bhar jin ko nahin aaya taqaza karna
Nazar un ke dar-e-aqdas pe jami rehti hai Shaan hai jin ki gham-e-dil ka mudava karna
Mere gham-khane ko hai un ki tavajjo darkaar Jin ko aata hai tabassum se ujaala karna
Kaash qismat mein ho Mehboob-e-Khuda ﷺ ka deedar Jin ka mansab hai tan-o-rooh ka ujla karna





