Baad-e-rehmat sanak sanak jaaye Waadi-e-jaan mehak mehak jaaye
Naam-e-paak un ka ho labon se ada Shahd goya tapak tapak jaaye
Jab chire baat nutq-e-Hazrat ki Ghuncha-e-fan chatak chatak jaaye
Arz-e-dil se uthay nawa-e-durood Goonj is ki falak falak jaaye
Rehnuma gar na ho woh seerat-e-paak Har musafir bhatak bhatak jaaye
Faiz-e-chashm-e-Huzoor kya kehna Saghar-e-dil chhalak chhalak jaaye
Chashm-e-Sarkar gar na ho nigran Nasl-e-Aadam behak behak jaaye
Maah-e-Taibah ka jab khayal aaye Shab-e-hijran chamak chamak jaaye
Matla-e-kainat par Taib Noor kis ka jhalak jhalak jaaye





