De tabassum ki khairat mahol ko, hum ko darkar hai roshni Ya Nabi ﷺ Ek shirin jhalak ek noorin dalak, talkh-o-tarik hai zindagi Ya Nabi ﷺ
Ae Naveed-e-Masiha! teri qoum ka haal Isa ki bheron se abtar hua Is ke kamzor aur be-hunar hath se chheen li charkh ne bartari Ya Nabi ﷺ
Kaam hum ne rakha sirf azkar se, teri taleem apnayi aghyar ne Hashr mein munh dikhayenge kaise tujhe hum se nakarda kaar ummati Ya Nabi ﷺ
Dushman-e-jaan hua mera apna lahu, mere andar adu mere bahar adu Majra-e-tahayyur hai pursidni surat-e-haal hai deedni Ya
Sach mere daur mein jurm hai aib hai jhooth fan-e-azeem aaj lareeb hai Ek aizaaz hai jahl-o-be-rahravi, ek aazar hai aagahi Ya Nabi ﷺ
Raaz-dan is jahan mein banaun kise, rooh ke zakhm ja kar dikhaun kise Ghair ke samne kyun tamasha banun kyun karun doston ko dukhi Ya Nabi ﷺ
Zeest ke tapte sehra pe Shah-e-Arab ﷺ tere ikram ka abr barse ga kab Kab hari hogi shakh-e-tamanna meri, kab mite gi meri tishnagi Ya Nabi ﷺ
Ya Nabi ﷺ ab to aashob-e-halaat ne teri yaadon ke chehre bhi dhundla diye Dekh le tere Taib ki naghma-gari banti jati hai nooha-gari Ya Nabi ﷺ





