Woh Mustafa ﷺ ki jo rahmat hai jaan-e-rahmat hai Wahi to hai jo mujassam jahan-e-rahmat hai
Hudood-e-door-o-sugoore-dayaar se baala Zameen pe saaya-fagan aasman-e-rahmat hai
Khula yeh raaz bhi Me'raj-e-Mustafa ﷺ ke tufail Jo la-makaan hai woh bhi makaan-e-rahmat hai
Muheet-e-kown-o-makaan mein safeena-e-hasti Hai jis ke dam se rawan, baadbaan-e-rahmat hai
Jo shash-jihaat mein naam-e-Khuda hai goonj raha Sabab yeh hai ke yeh wird-e-zabaan-e-rahmat hai
Hai farsh-o-arsh ke maabein jo waseela-e-wasl Khuda gawah, fakat nardbaan-e-rahmat hai
Huzoor ﷺ aap ka jalwa hai kaayinaat-e-jamaal Huzoor ﷺ aap ka aasooda jahan-e-rahmat hai
Rawaan-dawaan jo rahega, rawaan-dawaan jo raha Azal se ta-ba-abad, kaarwaan-e-rahmat hai
Hikaayatein huin sab qissa-haaye-pareena Harak zabaan pe ab daastaan-e-rahmat hai
Hai taaj-e-khatm-e-nabuwwat jo aap ﷺ ke sar par To aap ﷺ hi ka abad tak zamaan-e-rahmat hai
Hai aaftaab-e-qayaamat jo naar-paash to kya Hamaare sar pe bhi ik saayabaan-e-rahmat hai
Hum apne bal pe to dushman se bach na sakte the Qasam Khuda ki yeh hifz-o-amaan-e-rahmat hai
Nigaah-e-lutf Huzoor ﷺ! ab adu samajhte hain Hamaari nasha'at-e-nau, imtihaan-e-rahmat hai
Kahaan main ajz-e-bayaan Noori, zauq-e-naat kahaan Yeh mo'jaza to fakat armagaan-e-rahmat hai


